Kya Khoya Kya Paya
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
pal -pal ,din-din bahgta raha
jis khawab ke peeche
aaj sochta hoon ki wah sach tha
ya ek chhalawa.
chalawa tha toh kisni chhala mujhe?
shayad Main……………
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
pal -pal chhala tamanayoon ne
mujhe shehra ki bharti
bhagati rahi mujhe pal -pal
kasturi-marg ki bharti yeh jindgi..
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
shicha jis pyar ko maine jindgi bhar
aaj hara woh pyar mujhse e-jindgi
kya wah pyar bhi ek bharam tha?
fir kyon nahin paa saka usse ?
aaj sochta hoon…..
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
lad-lad kar har pal
tujhse e jindgi kya paya
kuch khawabhon ki lash…
kuch armanoon ka lahoo
fir bhi socha kabhi toh milegi manjil
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
mana aaj koi nahin hai mere pass
fir bhi ek sookon hai
paya maine jindgi ke
har bharam ka ek matra sach
MAUT………..
Jindgi ke antim kshyan par
aaj jindgi ko sochta hoon.
kya khoya kya paya issi
prashan ka uttar khojta hoon.
* antim kshyan -> last moment
*sherha -> mirage
2 comments so far
Leave a reply
Wow! So Chetan is here to explore the blogville! And that too with some real nice poetry.
Par dost, itna jyada mat socha kar! chill maar!
waakai mein mujhe shabd nahi mil rahe is bhaavuk avam marnasann [:D] kavita per pratikriya wyakt karne ke liye ….