woh kehti hain..
wo kehti hain
nazar utha kar chaand ko dekhiye
aji dekhne ko toh hum bhi betaab hain
us chaand se kahin haseen toh jaanam aap hain
woh kehti hain
apna khyal rakhiye
kya woh ye bhi na samjhe
ki kisi ko jannat mil gayi hai unhe apna karke
woh kehti hain
kuch kha kar aayiye
par us pyaas ka kya karein
jab tak woh surkh hothon se na chhoo lein
:By VertigoHead, for a special someone..
1 comment so far
Leave a reply
Nice maiden attempt..