Archive for the ‘kavita’ Category

Kuch yun hoa ki pata na chala

Kuch yun hoa ki pata na chala
Khuli aankhon ke kuch
soone sapne …
Kaise kab aasoan mein
badal gaye
Kuch yun hoa ki pata na chala

kuch shabad kahe humne
kuch ankahe se rah gaye
kuch sirf ek ahsaas se
ban kar rah gaye
Kuch yun hoa ki pata na chala

Kuch bikhra kuch aur bikhra
har roj fir ek baar main
khud se dur chala
Kuch yun hoa ki pata na chala

Kya hai???

Dekhte hai sab khawaab yaha..Mere khawaabo.n ka Kya hai?
Hote yuhi.n agar Khawaab jo poore…fir unke”मायने” Kya hai?

Dekha hai yahaa.n par logo ko palo.n mein bhoolate
Nahin pahchante aaj tum mujhe, to tumhari “ख्ता” Kya hai?

Kaise kahu.n yeh Zakhm hai jo mere dil par..teri Nishani hai
Du.n agar inhe bhi naam tumhara, toh Meri “कहानी” Kya hai?

Kaha se…Kaha se

Kaha se aarambh kare
Kaha par ant kare
Jab nahin thi suruwat humari
Toh hum ant kaha pe kare

Dekhte hai tere us charhe ko
Sochte hai ki kuch baat kare
Lekin kaha se aarambh kare
Kaha par ant kare

Hai jo yeh bebas jindgi tum bin
Sochte hai hum kab tak basar kare
Lekin ab kaha se aarambh kare
Kaha par ant kare

Kya Farq Padta Hain

Akele  aaye hain is duniya mein
Ab akele hi janaa hain
Beech mein jo kiya hummne
Unse kya farq padta hain kisiko…..

Badi aarozo thi dil mein
Duniya mein apni hasti banani hain
Is mein kaamyaab ho ya na ho main
Uss se kya farq padta hain kisiko…..

Dil bhi ajeeb deewana hain
Khwaab dekhta hain aise
jo kabhie na honge purey
Main ab khush hoon ya udaas
Uss se kya farq padta hain kisiko…

Par jeena toh padega hi zindgi ko
Mere khuda ki jo yeh marzi hain
Usne  kuch toh socha hi hoga mere liye
Warna uski is duniya mein mera kya haal hain
Uss se kya farq padta hain kisiko……

Ehsaas….

Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujhse mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtoon ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saanson mein samaane laga hai tu

Naam koi bhi loon to naam aaye tera laboon pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam doon iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayaloon se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu

Mere liye yaha koi manzil nahin hain…

Chalte jaa rahe hain sabhi dur hum se
Kisi ne bhi mudke dekha nahin hain
Aaj bhi hain kal bhi the, hum yuhi tanha
Humein dekhein aisi koi aankhein nahin hain

Dil ki yeh khalish ko hum seh lete
Tere har gum ke saath hum muskhara toh lete
Teri berukhi ka, mujhe gham nahin hain
Rakeebon se dosti toh koi kam sitaam nahin hain

Zakhmon ki kashthi, ashkon ke dhaare
Bin kisi sahaare humne Doondhe kinaare
Dhoke hain saare, saahil nahin hain
Mere liye yaha koi manzil nahin hain

Humein dosti mein sadme mile hain
Chehre ke peeche, chehre mile hain
Yahaan toh dilon mein wafaayen nahin hain
Mere liye yaha koi manzil nahin hain

….

“Hami bhoole nahin achche burre din aaj tak warna,
Nayi ki is daur mein cheezen purani kaun rakhta hai”

Ek roshni ki kiran ko
Mohtaaz hoon main
Jaan baaki hai lekin
Ek ahsaas hoon main
Jism Dafan ho chuka hai
Saanse fir bhi jinda hai
Khud se niraash ho chuka
Ek ahsaas hoon main

Jamaana darta hai jisse
Woh ek doorie hoon main
Jo kabhi puri na ho saki
woh adhuri kahani hoon main
Dil mein the sabhi armaan
Jo toot gaye hai
Yuhi jindgi basar ho rahi
Ek majboori hoon main
Chaav na de paya jo
Ek assi chaya hoon main
Apni hi garmi mein jalti hoyi
Ek kaaya hoon main
Sochata hoon bas yahi
Kya hoon main
Kya hoon main
Kya ek insaan hoon main

Nothing At All..

I am alone, totally alone
Some days back
I had everything
Now I have Nothing
I have Nothing to lose
Nothing ….Nobody….No one
I am alone, totally alone

I know I am not rite
But this is my fucking life
Who are they?
Why should I care?
This is my way
And I know it very well
Let me go to hell
I don’t know who am i?
But that I am…
I know I am good at Nothing
And at last I have
Nothing…..
At least I have Nothing

Na jaane kaha kho gaya hai
Ek saksh is sahar mein
Dikhta tha mujh jaisa
Par ajnabi sa lagta tha

Chalta tha har kadam par
Mere saath bankar mera Saaya
Pochta tha pal-pal kya paaoge tum
Jab abhi tak mujhe hi nahin paya

Kon tha woh, kya tha woh mere liye
Ek Anbhujhi si pheli tha woh mere liye
Jisse kabhi main jaan nahin paaya
Aisa meer ek dost tha woh mere liye

Aaj woh nahin hai toh kyon mera man vichlit hai
Usse bina sab ke sab mere liye aprichit hai

Kaha kho gaya hai woh is sahar main
Ya kho gaya hai woh mere hi andar
Chalo aaj fir usse milte hai
Apne aap ko khud se milate hai
Na jaaye fir woh mujhe chhod kar
Usse aaj fir se apna saaya banate hai

Next Page »